Mehnat ke baad hi safalta milti hai,
Safalta ke baad hi khushiyan milti hain,
Mehnat to karta hai har koi,
Par jo kathin mehnat kare, asli khushiyan use hi milti hain. |
Aapki kaamyabi ka hum bhi jashn manayenge,
Aapke har sapno ko hum bhi dil se lagayenge,
Aap chahe kuch bhi kahein,
Hum to aaz raat bhar jhoomenge, gaayenge. |
Aapke saath aaj hame bhi khushiyan manane ko dil chahta hai,
Aapki khushiyon ke jashn mein aaj doob jaane ko dil chahta hai.
Jaane kya baat hai aaj ke din mein,
Aapko gale se lagakar badhai dene ko dil chahta hai. |
Kaamyabi milti hai unhe jo apni lagan ke diwane hote hain,
Safal hote hain wahi jo safalta ke haqdar hote hain,
Kehne ko to badta hai har koi manzil ki or,
Lekin paate hain manzil wahi, jo manzil ke asli haqdar hote hain. |
| Badhai ho Badhai ho, Aapne ye kaam kar dikhaya, Aapne saabit kar diya ki aap kitne mehnati hain. |
| Hame naaz hai ki hmare paas aap jaisa dost hai, jisne aaj apne jeevan mein itni badi safalta haasil ki. Aapki is kaamyabi ke liye hum aapko dil se badhai dete hain. |
| Is Kaamyabi ke liye aapko laakh laakh badhaiyan, aapne aaj khud ko saabit karke dikha diya. |
| Badhai ho aap baap ban gaye. |
| Badhai ho aap dada ban gaye. |
| Badhai ho aap dadi ban gayi. |
|