Ek mehfil mein baat hui deewano ki,
Mohobbat mein mar mitne wale deewano ki,
Mujhe laga hum nahi hain deewane,
Lekin sabne kaha mehfil ke sabse bade hum hi hain deewane. |
Tadapta hai har shaks pyar ke liye,
Rota hai pal pal insaan sachhe pyar ke liye,
Rahe salamat yarana hamara,
Bas yahi arman hai zindagi ke liye. |
Har shaks ki zuban par naam tumhara ho,
Har dil tumhara deewana ho,
Chahat ka asar kaash hamari aisa ho,
Toote se bhi na toote rishta hamara aisa ho. |
Apna kehkar log bhool jaate hain,
Pal bhar mein hame hazaron sapne dikha jate hain,
Hum to ek phool bhi todne se katrate hain,
Jaane log kaise dil tak tod jaate hain. |
Sab kuchh hai mere paas bas ek tu nahi,
Tu door bahut hai, dil se door nahi,
Pyaar to use ab bhi hai humse,
Ziddi hai wo thoda sa, bewafa nahi. |
Kagaz par likha hota naam tera to mita dete,
Kiya hota koi sauda to keemat chuka dete,
Kaise samjhau tujhe oh yaad aane waale,
Agar sapna hota to kab ka bhula diya hota. |
Mar bhi gaye to apna vaada nibhayenge,
Zaroorat padhi to bhoot bankar bhi paas tere aayenge,
Darna nahi hamse agar hum bhoot ban gaye,
Hum to ek jaadu ki jhappi lekar chale jaayenge. |
Dil ke jo kareeb hote hain unhe sataya nahi jaata,
Pehla pyar kabhi bhulata nahi jaata,
Maana khata ki humne aapse,
Lekin khata aisi bhi to nahi ki hame maaf hi nahi kiya ja sakta. |
Kyun apna banakar bhool jaata hai koi,
Apni yaadon se kyun tadpa jaata hai koi,
Umar bhar ke saath ka vaada nibhakar,
Kyun apna vada bhool jaata hai har koi? |
Dil kehta hai usne anzane mein hame bhula diya,
Dil kehta hai anzane mein usne hame rula diya,
Hum to hamesha se hi tanha the,
Usne to bas hame ye ehsaas dila diya. |
|