Hindi SMS

New Year SMS

Hindi SMS






Cool Sites



Send New Year Hindi SMS to your friends.




Kamyabi ke sikhar mein naam ek din aapka hoga,
Aapke har ishare main duniya ka har shaks khada hoga,
Sachhai ka saath kabhi na chhodna,
Vada hai hamara ek din waqt bhi aapka gulam hoga.
Happy New Year

Kaamyabi ki kahani aap likhte jaayein,
Sapne aapke saare hakeekat ban jaayein,
Kehte hain duvaon mein taakat hoti hai bahut,
khuda kare is saal hamari dua bhi rang laaye.
Happy New Year

Har din aapke liye khushiyon ki saugat laaye,
Aapka har pal khushiyon se bhar jaaye,
Chahkar bhi aap gum ko taraste rahen,
Dua hai aapke liye ye saal itni khushiyan laaye.
Naya Saal Mubarak Ho.

Naye saal ki yahi hai dua hamari,
Aapko mile is jahan ki khushiyan saari,
Saara zamana jhuke aapke kadmon par,
Bas yahi ek aarzoo hai hamari.
Naye Saal Ki Hardik Shubhkamayein.

Aapki har raah aasan ho jaaye,
Bas yahi hai dua aapko aapki har manzil mil jaye,
Chahe hon kitne kathin raaste,
Bas yahi tamanna hai aapke liye har raah aasan banti jaaye.
Happy New Year

Sooraj ki kiran roshani laayi,
Dekho tumhe jagane phir ek subah aayi,
Utho utho ab aankhe kholo,
Tumhe jagane aaj naye saal ki pehli subah aayi.
Happy New Year

Khushiyon ki bahar charon taraf chhai hai,
Tahe dil se aapko humne bheji badhai hai,
Mubarak ho aapko naya saal,
Dil ki har dhadkan ne aapko dee badhai hai.
Naye saal ki hardik shubhkamnayein.
Naya Saal Mubarak Ho.

Dekho dekho naya saal hai aaya,
Sang apne naye sapne laaya,
Poori hon aapki har khwahish,
Humne aapke liye ek deep jalaya.
Happy New Year

Khushion ke saaye mein beete har din aapka,
Dukh ka kahin naam na ho,
Mile is saal itni khushiyan aapko,
Ki dukh ka kahin bhi naam na ho.
Naya Saal Mubarak Ho

Sachhe dil se humne ye paigam bheja hai,
Milein khushiyan bas yahi ek arman bheja hai,
Safalta choome aapke kadam har pal,
Naye saal ka bas ek yahi farman bheja hai.
Happy New Year








WishAFriend.in (c) 2011 Internet Design Zone & its licensors. All Rights Reserved. All content on this website is copyright-protected and cannot be used on any other website for any non-personal or commercial purpose.