Is naye saal , jo maango tum wo tumhara ho jaaye,
Zamane ki saari khushiyan tumhare kadmon mein gir jaayein,
Naye saal ki yahi hamari shubhkaamna,
Ye saal aapke liye khushiyon ka mela le aaye. |
| Khushiyon aur safaltaon ka aur ek saal samapt ho gaya. Har naya saal nayi khushiyan, naye sapne laata hai, jinhe poora karne ke liye hame nayi chunautiyan
ka saamne karna padhta hai. Ishwar aapko dherya saahas aur shakti de, taaki aap kisi bhi samasya ka saamna dat ke kar sako. Naya Saal Mubarak Ho. |
| Bahut saare log naye saal ka intezaar karte hain, aur apne aap se vaada karte hain ki wo naye saal mein apnni buraiyon ko chhod denge. Hum bhi aapse yahi
ummid karte hain ki aap apne andar kisi bhi burai ko na rehne dein aur use beete saal mein hi samapt kar dein. Naya Saal Mubarak Ho.
|
|