| Aaj is khoobsurat aur khaas avsar par, jab do aatmaaein ek hone ja rahi hain, hum ishwar se yahi dua karte hain ki aapki aane waali zindagi mein khushiyon ki bahaar aa jaaye. Aapka jeevan hamesha khushiyon ke saaye mein beete. Yahi hamari shubhkaamna hai. Shadi ki bahut bahut badhai. |
| Is khaas mauke par, jab do aatmaon ka milan hone ja raha hai, hum ishwar se aap dono ke bhaavi jeevan ki kaamna karte hain. Saath hi yahi prarthna karte hain ki aapke jeevan mein kabhi bhi koi dukh ya pareshani na aaye. Shadi ki bahut bahut shubhkamnayein. |
| Hame ummid hai aapka vaivahik jeevan aapki zindagi mein dheron khushiyan laayega. Ishwar aap dono ki jodi hamesha salamat rakhe aur kabhi bhi aap par koi bhi dukh takleef na aaye, vaivahik jeevan ki bahut bahut shubhkamnayein. |
| Hum ishwar se yahi prarthna karte hain ki aap dono ka pyar kabhi bhi ek doosare ke liye kam na ho. Aap hamesha ek doosare ka saath nibhayein. Phoolon ki tarah aapka jeevan hamesha mehekta rahe. Hamari or se shadi ki bahut bahut shubhkamnayein.
|
|